Wo ek shaqs aaj bhi bahot yaad ata hai
Wo subha ke dhup ki tarah khilkhilana usska
Wo dopahar ke tapish ki taras sharmana usska
Wo Shaam ke hawa ke jhonko ki manind meri saans ko mehkana
usska
Wo chand ki chandni ki tarah mere jism ko behkana usska
Wo mere khaabon khayalon ke gharondon mein aa ke bas jata
hai
Wo ek shaqs aaj bhi bahot yaad ata hai

lovely....!!
ReplyDelete